Monday, September 14, 2015

Parichay

16th Jul 1987

Aao tumko aaj mein apne
Dil ki sair karata hun
Apne do adhron mein atke
Bolon ka mol batata hun

Tumse milkar maine jaana
Kyun shama pe mit-ta parwana
Jab ho jata dil bekabu
Toh sahi galat kisne jaana
Ab deewano ki basti ka
Main bashinda kehlata hun

Aao tumko aaj mein apne
Dil ki sair karata hun
Apne do adhron mein atke
Bolon ka mol batata hun

Mere jeevan ki har sheh ka
Aagaz bhi tum, anjaam bhi tum
Is andhe shehr mein begaana
Mein jidhar mudun jis dagar chalun
Aakhir mein main khud ko har dam
Tere dar pe hi paata hun

Aao tumko aaj mein apne
Dil ki sair karata hun
Apne do adhron mein atke
Bolon ka mol batata hun

No comments:

Post a Comment